|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2012
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: nah kalaam hai, nah payaam hai, nah sawaal hai, nah jawaab hai |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Ateeq Khan Saba |
82 |
Shahjahanpur, Uttar Pradesh, India |
| 2 |
Khurshid Rizvi Naiyer |
78 |
Riyadh, Riyadh, Ksa |
| 3 |
Syed Abu Turab Turab |
76 |
Sharjah, Sharjah, United Arab Emirates |
| 4 |
Muhammad Aslam Fareedi |
74 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 5 |
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri |
72 |
Bangalore, Karnataka, India |
| 6 |
Wazir Hassan Wazir |
70 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 7 |
Hammad Hasan |
66 |
Houston, Tx, Usa |
| 7 |
Muzaffar Ahmad Muzaffar |
66 |
New Malden (london), Surrey, England |
| 9 |
Aamir Abbas Aamir |
64 |
Karachi, Sind, Pakistan |
| 9 |
Zubair Ansari "zubair" |
64 |
Kalpi, Distt. Jalaun, Uttar Pradesh, India |
| 9 |
Syed Kashif Asri |
64 |
Hoffman Estates, Il, Usa |
| 12 |
Tanwiruddin Ahmad Phool |
60 |
Albany, New York, U.s.a. |
| 13 |
Sara Jabeen Sara Jabeen |
58 |
Shiloh, Il, Us |
| 14 |
Gaurav Shah "taariq" |
54 |
Los Angeles, Ca, Usa |
|
|

Previous winners

#1
Ateeq Khan Saba
na woh daur hai, na woh hausle, na woh josh hai , na shabaab hai
meri aankh mein magar aaj bhi tere saath jeene ka khwab hai
na wafaaon ki hai mahak kahin, na mohabbaton ka gulaab hai
yahan umr guzre gi kis tarah, yahan saans lena azaab hai.
kabhi loot lete hain dost hi, kabhi mehrbanon ke hain sitam
yahan kaise jaanen kisi ko hum ki sabhi ke rukh pe naqaab hai.
jahan tha khuloos ka gulsitaan, jahan chashma pyar ka tha rawan
wahin ab fareb ka dasht hai,wahin nafraton ka saraab hai
teri khamshi ka yeh silsila,teri be - rukhi ki yeh inteha
" na kalaam hai,na payaam hai, na sawal hai , na jawaab hai
nahin jin mein zabt ka hausla,jo bikharne lagte hain pa ke ghum
wohi log kahte hain bus yehi ki ilaaj ghum ka sharaab hai.
yeh dayar -e- ishq hai ae saba , yahan dard-o-ghum hi hain hukmraan
yahan bhool se bhi jo aa gaya bus usi ka khana kharaab hai
|
|
Back to top

#2
Khurshid Rizvi Naiyer
naye rind hain, naya maikada, nayee botalon men sharaab hai
abhi dasteras men nah aayergaa abhi bahka bahka shabaab hai
nah wo ulfaten,nah wo chahaten, nah woh pyar o uns ka baab hai
huyee talf saari riwayten, yeh jadeediyat ka nesaab hai
mere ham nashin zara soch to ke yeh kaisa tera hisaab hai
wahan khaar hi hai mila mujhe jahan shaakh shaakh gulaab hai
kahin ranj o gham kahin hasraten kahin yas o dukh ki hikayaten
jise shoaq se too hai padh raha meri zindagi ki kitaab hai
meri us se itni hai rasmo rah nah mile nazar nah khule hai lab
"nah kalaam hai, nah payaam hai, nah sawaal hai, na jawaab hai"
saji jis se bazme tarab teri, teri mahfilen teri gham ki shab
jo ghazal kahe hai tere liye wahi tera khaanah kharaab hai
mere kaif o mere suroor ki kabhi puchyo nah sabab miyan
mere dil men soot e ishque hai mere paas gham ki sharaab hai
abhi aur nikhrega rag e rooe abhi khushbu phayle gi ku ba ku
jo mere lahoo se patee zamin yeh usee chaman ka gulaab hai
mere ham nashin ko hai sb khabar, keh hai chhalni chhalni mera jigar
par woh kiya kare sawaar us peh to be hisee ka azaab hai
yahi ilteja kiya phir raha hai her ek se "naiyer" e be nawa
kabhi chhodyo nah subu e gham keh isi men han maye naab hai
|
|
Back to top

#3
Syed Abu Turab Turab
yeh bayan yeh meri shayari , mere fikr o fun ka nisaab hai
yeh bayaz e sher o adab kahan , meri zindagi ki kitab hai
yeh jahan ajab hai na poochiye , nahin farq rafeeq o raqeeb mein
yahan dushmani ke siah rukh , pe bhi dosti ka naqaab hai
kahin zindagi mein bhi maut hai , kahin maut mein bhi hai zindagi
kahin sarkashi ka hai zehr aur , kahin bandage ki sharaab hai
rah e zindagi mein tumhi kaho , jo sambhal bhi pao to kis tarah
na to laghzishon ka hai thajzia , na tho thokraun ka hisaab hai
uthi doosron pe tho unglian , magar apni baat jo aa gayi
na kalaam hai na bayan hai , na sawaal hai na jawaab hai
kisi be gunaah ka qatl hai ise deen se thon a rabth de
woh nigaah e haq mein gunaah hai , jo teri nazar mein sawaab hai
tere dar ka adna ghulam bhi , kisi badshah se kam nahin
tere dar se hai jo woh munsalik , bada khush naseeb turaab hai.
|
|
Back to top

#4
Muhammad Aslam Fareedi
na wo fiker hai na wo shairy na qalam mein wo tabo-taab hai
main likhun to kaisay gazal likhun mera zehn zere-ataab hai
jo chaman mein bad-khazan chali wo chaman ka husn bhileygaee
na bahar misle bahar hai na gulab misle gulab hai
jo naqab rukh se juda huee nigah-e-harees bhi waa huee
mere dil ko jis ki talash thi ye wahee to jan-e-shabab hai
jo na sajda-haaye khulose ho ussay sajda kahna hai kab rawa
ke khulose hi to namaz hai ke khulose mein sawaab hai
wahi intezaar ke rozo-shub wahi justaju hai wahi thakan
meri zindagi bhi nesaab hai teri zindagi bhi nisaab hai
mera humnawa mera humsafer sar-e-raah milta to hay mager
na salaam hai na kalaam hai na sawaal hai na jawaab hai
yahan aik lamha bhi jabr se kisi taur kam nahin dosto
ke qadam qadam pa saleeb hai ke qadam qadam pa azaab hai
naye jang ki naee aag phir kisi pal kahin na bharak uthay
wo azaan-e-amn to day koi jo faridi kaar-e-sawaab hai
|
|
Back to top

#5
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri
main hoon kaun,kya haoon,kahaan hoon main,mujhay chaahiye yeh jawaab hai
mira mukhticar yeh shabaab hai,miree zeest miclay hubaab hai
aye hawaa bataaday tu kaun hai ,nahin aati kyun tu mujhay nazar
tire dam say mera wujood hai, tu nahin tau zindagi khwaab hai
woh zameen pe hon ya tahay zameen,unhen zindah rehnay kay waastay
nah samajh saka main yeh aaj tak,kyun hawa kay baad yeh aab hai
jahaan dekho nazm hi nazm hai,yeh nizaam kaisa nizaam hai
"nah kalaam hai nah payaam hai,nah sawaal hai nah jawaab hai"
suno mere haamid e baaqari,keh banaaya tumko hai jisnay bhi
woh hai aik us saa nahin koyee,tumhen dena uskau hisaab hai
|
|
Back to top

#6
Wazir Hassan Wazir
isey bhulne ki sa"i na ker meri hasrato.n ka ye baab hai
jo work work hai lahu lahu meri zindagi woh kitab hai
jo tera khayal wo khwab hai woh mera khayal wo khwab hai
na teri aada me.n kashish rahi, na mera woh ahed-e-shabab hai
woh jo mekade se chala gaya to nizam sara badal gaya
na woh mekade ka asool hai, na woh jaam hai na sharaab hai
jo shaistagi ka mizaj tha usey ahed-e-no ne badal dia
na gunah ab woh gunah hai, na sawab ab woh sawab hai
yaha.n kis chaman ki hawa chali ke bikher ke reh gai.n hurmate.n
na kisi nazer me.n haya rahi, na kisi ke rukh pe hijab hai
teri berukhi ki azeyate.n mere dil me.n sari uter gai.n
jo solag rahi hai ye zindagi teri chahato.n ka azaab hi
hui mujh se koi khata nahi, koi jurm me.n ne kia nahi
mere munsifo! ye jawab do mere naam kion ye a"taab hai
woh zara si baat pe be sabab jo khfa hua to khafa hu
nah kalaam hai, nah payaam hai, nah sawaal hai, nah jawaab hai
usi mumlikat me.n wazir ho.n jaha.n zindagi nahi zindagi
na to zolm ki koi inteha, nahi jabriat ka hisaab hai
|
|
Back to top

#7
Hammad Hasan
hain ajeeb dil kay ma-aamlay jahan kaam sirf nazar ka hai
"na kalaam hai na payaam hay na sawaal hay na jawaab hai
meray khairkhwah meray chaaragar meray dil ka zakhm hai
laelaaj
mujhay dukh milay hain kuch isqadar nahin jin ka koi hesaab hai
yeh jo peyaar baantay gali gali aur na maangay uska sila koi
jisay nafratain mileen umr bhar woh yahi to khaana kharaab hai
mujhay zindagi main sukoon ka koi ek lamha bhi na milaa
mujhay aazmaata raha sadaa yeh jo mera rabb-e-wahaab hai
jo hain nek woh hain dukhi yahaan jo gunaah gaar hain khush hain woh
jisay koi bhi na samajh saka yeh woh zindagi ki kitaab hai
naheen kaam mera yahaan koi yeh to nek logon ki bazm hai
na yahaan pay chang-o-rabaab hay na sharaab hay na shabaab hai
meray hamnasheen meray dosto meray chaaragar ko khabar karo
mujhay rogue lug gaya ishq ka meray dil ka haal kharaab hai
|
|
Back to top

#7
Muzaffar Ahmad Muzaffar
nah kalam hai, nah peyaam hai, nah sawaal hai, nah jawaab hai!
mire hamnashen mujh~e lag raha hai, yeh chahaton ka a'zaab hai!
wohee talkhi-e-shab-e-hijr hai wohee justuju pae'y*-e-z^abt^-e-gham
yeh hayaat kushtah-e-intez^aar kee gaoya raoz-e-hisaab hai!
go jahaan kee har sheh badal gaee naheen badle asbaaq*-e-a'ashaqee!
keh sabh~ee makatib-e-i'shq ka wohee aek kuhnah nisaab hai!
main qateel-e-tegh-e-ada huwa to yeh jazb-e-dil ne mujh~e kaha!
rah-e-shaoq men jo tabah huwa tu woh pehla khanah kharaab hai!
dil-e-naatawaan yeh nah th~ee khabar hai kara muhabbaton ka safar!
ho ke paapeyadah* pata chala keh yeh rastah kitna kharaab hai!
yon to aor bh~ee hain haseen magar tu(swws)hai wajh-e-takhleeq-e-do jahaan
yahee sach hai husn-o-jamaal men tu hee aap apna jawaab hai!
woh chala geya ise raondta* aey muz^affar-e-shah-e-khush beyaan
main to yeh bh~ee us se nah keh saka keh yeh mere dil kee kataab hai!
-------------
pae'y*= ke liye,wast^e
asbaaq=sabaq kee jama'
paapeyadah*=baghaer sawaree ke, apne paoon par chalna.
raondta=masalta huwa,paon ke neeche masalta huwa.
|
|
Back to top

#9
Aamir Abbas Aamir
meri chashm e tar mera raaz hai, mera dil nahin hai kitaab hai
mere ham-nasheen! tujhe kya kahun, yeh jo khaamoshi hai hijaab hai
bhari bazm mein mujhe do sada, yeh adab nahin mere saaqiya!
nahin mai-kade mein bharam zara to fuzool saari sharaab hai
mujhe zeest hai, tujhe daar hai, yeh nazar nazar ka ma'yaar hai
meri raah ka wohi khaar hai, teri zulf ka jo gulaab hai
mujhe 'ilm ki jo hui talab, meri rooh jab hui tashna-lab
khula mujh peh haq se yeh raaz tab, koi shehr hai, koi baab hai -- (#1)
meri kis khata ka in'aam hai, na nigaah hai, na salaam hai
na kalaam hai, na payaam hai, na sawaal hai, na jawaab hai
hua shab yeh waaqi'a ru-numa, mujhe 'andaleeb e chaman mila
kaha, "dahr mein na ho mubtala, yeh saraab hai, yeh saraab hai"
yeh jaza o saza ki hikaayatein, yeh bahisht o jaheem ki aayatein
yeh malak ki likhi shikaayatein, yeh nahin to khaana kharaab hai
yeh jo gird o paish mein khel hai, yeh museebaton ka jo sail hai
meri khwaahishon ke tufail hai, meri laghzishon peh 'azaab hai
yeh jo thehri hai gardish e aasmaan, kahin loot le tera saaibaan
tera she'r aamir e khasta-jaan, use darkhur e sad 'itaab hai
------------
(#1) = ana madinat ul ilm wa ali un baabuha
|
|
Back to top

#9
Zubair Ansari "zubair"
meri zindgee, meri bandgee pe teraa karam be-hisaab hai
jo karam na ho to ye zindgee bane ek musalsal azaab hai
ye hayaat bhee kya hayaat hai na to haq hai aur na hi khwaab hai
na kalaam hai na payaam hai na sawaal hai na jawaab hai
jo thaa laazmee maine sab kiyaa meraa dil bhi kadmon pe rakh diyaa
huee muddatein na ulat sakaa tere rukh pe aisaa naqaab hai
jo naseeb mein hai likhaa huaa wo hi aataa sabke hai saamne
kaheen kahkahon kee hain baarishein kaheen dard-o-gham behisaab hai
jo teraa naheen wo mera naheen ye sadaa-e-parwardigaar hai
tera naam lenaa sawaab hai tujhe yaad karnaa sawaab hai
koi jaan de tere naam par koi kaat letaa hai ungliyaan
tera husn* saare jahaan se hai mujhe pataa laa jawaab hai
diye zakhm toone hain is qadar mera dil hai ab is mukaam par
tera naam lenaa gunaah hai tujhe yaad karnaa azaab hai
-------------
*husn-e-yusuf
|
|
Back to top

#9
Syed Kashif Asri
tu badal gaya hia jan-e-jaa, ya yaa mera naseeb hee kharab hai
nah kalaam hai, nah payaam hai, nah sawaal hai, nah jawaab hai
kyon laho mai tar meray shahr kay hain tamam rastay aye khuda
tu bata mujhay aye meray khuda meray shahr pay kyon aazab hai
yehi kul mataye-e-safar hia joo mai liye hoye bas nikal para
tera ishq hia meray zehn mai meri ankh mai tera khawab hia
kisi raah mai woh mila agar, aur sawal us nay yeh kar liya
mujhay yaad tum nya kiya kabhi? zara soch loo koi jawab hai
teri yaad mai jo tamam tamam umr mai bita chukka sabhi sayatain
mai kahon gaa kashif yehi ussay, meray pass unka hisab hai
|
|
Back to top

#12
Tanwiruddin Ahmad Phool
yeh jahaan-e-khaanaa kharaab hai,yahaan har nigaah mein khwaab hai
koi samjhe kaise haqiqatein,har nazar ke aage saraab hai
yeh nafas ki aamad-o-shud hai keya,yeh damaagh keya hai,yeh rooh keya?
tujhe raaz-e-hasti kaa ilm keya,yeh hijaab andar hijaab hai
yahaan har taraf hai ghamaa ghami,yahaan kaarwaan hain rawaan dawaan
hain amal se zeest ki raunaqein,yahi zindagi kaa nisaab hai
tira har amal jis mein darj hai,koi likh rahaa hai woh diary
jahaan zarre zarre kaa zikr hai,woh kitaab aeisi kitaab hai
woh zamaana bachpan kaa lad geya,naheen fikr koi na waswasaa
rah-e-zeest mein ab hain mas'aale,kaheen aagahi kaa azaab hai
yeh firaaq hai yaa wisaal hai,mira qalb hai shash-o-panj mein
woh makeen hai mere khayaal mein,nah huzoor hai na ghayaab hai
kahaan soey ho jaa ke hamnisheen,tumhein neend aai hai daaemi
nah kalaam hai na payaam hai,nah sawaal hai na jawaab hai
yeh jahaan hai aks-e-aakhirat,yahaan neend ajal kaa hai aaina
yahaan har nafas kaa ma'aal hai,yahaan roaz yaum-e-hisaab hai
kahaa phool ne hai chaman mein yeh,mira yaar ghunchaa dahan hai woh
jis pe fasl-e-gul hai fida hui,jis kaa chehraa taazaa gulaab hai
|
|
Back to top

#13
Sara Jabeen Sara Jabeen
na ye jaan ko hai qaraar ab na ye dil ko hai sukoon ab
yehi haal hai mira raat din tere hijr mein ye azaab hai
ye muhabbaton ke fasaane bhi hain anokhe aur sard bhi
hoween jispey aisy inayatein wahi jaise zer-e-niqaab hai
yehi fikr mujhko hai raat din mera yaar mujhse hai kyon khafaa
"nah kalaam hai, nah payaam hai, nah sawaal hai, nah jawaab hai"
ye meri nazar ka faraib hai ke teri zaat hi hai bewafa
meri zindagi ki kitaab ye bada ajeeb sa baab hai
teri sara ko dil o jaan se wahi rabt hai jo hamesha tha
teri yaad meri namaz hai tera zikr kare sawab hai
|
|
Back to top

#14
Gaurav Shah "taariq"
mujhe mil gayii mere zeest kii vo bahii ke jis mei.n* hisaab hai
mere bakht mei.n to hai bekasii, na khushii likhii na sawaab hai
mere saaqiyaa! ab laut aa, teraa maikadaa bad-haal hai
na rahaa nashe kaa nishaa.n talak, bas botalo.n mei.n sharaab hai
mere hukm-raan-e-jaan kaa hai badaa karam, ke na aik ghum**
mar jaaoongaa, na kahe koii, ki ye sach nahii.n ye to khwaab hai
khaa kar ke thokar dar-ba-dar, sab haar kar, juz aas-bhar
mere past paa paho.nche jahaa.n dil-e-yaar kaa mehraab hai
jis ke sabak padh kar tujhe detaa rahaa mai.n un dino.n
tere paas kyaa, kaa’il mere, ab tak merii vo kitaab hai?
taa-umr shauq-e-deed uss parde se takaraataa rahaa
ab ho gayaa “taariq” fanaa to vo be-hayaa be-naqaab hai
|
|
Back to top


Previous Winners
January/February 2007November/December 2006September/October 2006July/August 2006May/June 2006March/April 2006January/February 2006November/December 2005September/October 2005July/August 2005June 2005
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004

|
|
|