|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: dekhaa is beemaaree-e-dil ne aaKhir kaam tamaam kiyaa |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Zubair Ansari "zubair" |
80 |
Kalpi, Distt. Jalaun, Uttar Pradesh, India |
| 2 |
Khurshid Rizvi Naiyer |
74 |
Riyadh, Riyadh, Ksa |
| 3 |
Tanwiruddin Ahmad Phool |
70 |
Albany, New York, U.s.a. |
| 3 |
Wazir Hassan Wazir |
70 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 5 |
Dr. Naim Sahil |
64 |
Allahabad, Uttar Pradesh, India |
| 5 |
Muhammad Aslam Fareedi |
64 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 7 |
Tajwer Sultana Tajwer |
52 |
Manama, Manama, Bahrain |
| 8 |
Kalim Hazique Kalim |
48 |
Howrah, West Bengal, India |
| 8 |
Ali Imran |
48 |
Shujabaad, Panjab Multan, Pakistan |
| 10 |
Ahsan Purikpa Shaargo |
46 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
|
|

Note: Results of competition #23 have been prepared by renowned poet Sarwar Alam Raz Sarwar and mushaira.org Competition administration.

Previous winners

#1
Zubair Ansari "zubair"
paano se ghunghroo kholne par bhee logon ne badnaam kiyaa
dekhaa is beemaaree-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiyaa
teree mohabbat ne jab mujhko galee-galee badnaam kiyaa
dhan aur daulat cheez hai kyaa jaa dil bhee tere naam kiyaa
bhaarat maataa kee aankhon se khoon ke aansoo bahne lage
dropadee ko bharee sabhaa mein jab hamne neelaam kiyaa
bazm mein unkee kah na sake kuchh sookhe-pyaase mere lab
itnaa bataa de kyon saaqee ne pesh na mujhko jaam kiyaa
ranj-o-alam ke baadal chhaaye, maazee kee jab yaad aayee
aankh mein aansoo bhar-bhar aaye dard ne jab kohraam kiyaa
hairat kee jab aankh ne dekhaa, hairat se munh takne lagee
aaj bharee mahfil mein kisne apnaa jalwaa aam kiyaa
tanhaaee, ruswaaee, furkat, aanhein, aansoo, dard, ghutan
jalte huye ahsaas ne mere ek pal na aaraam kiyaa
duniya ne gujrat ko dekhaa bheegee-bheegee aankhon se
firqaa-paraston ne bhaarat mein jab-jab qatl-e-aam kiyaa
dil mein hazaaron armaan jaage, aankhon mein bhee khwaab kaee
qaasid ke haathon se rawaanaa jab hamne paighaam kiyaa
jaanib-e-sahraa josh-e-junoon ne jab bhee barhaaye apne kadam
kaanton ne chhaalon kaa swaagat mere ek-ek gaam kiyaa
sabr ne hamko hauslaa bakhshaa ranj-o-alam sahne kaa “zubair”
zikr tumhaaree jor-o-jafaa kaa sub-ho kiyaa na shaam kiyaa.
|
|
Back to top

#2
Khurshid Rizvi Naiyer
jisne pheka ham par patthar jisne hamen dushnaam kiya
zat ka apni harj kiya aur aap hi khud badnaam kiya
hamne kabhu na bazm men tere tazkirahye aalaam kiya
shama ke manind jale kabhi parwaane ka kaam kiya
lahu jigar ka dekar tera gulshan lala faam kiya
tere bikhre zulf sanware kab hamne aaraam kiya
pyar, muhabbat, ghazlen, nazmen sab kuchh tere naam kiya
mahfil ke aadaab sikhaaye husne takallum aam kiya
ham to thahre aishq ke taaer sabaq har ek ja aam kiya
bemaqsad na dasht se guzre aur na darya raam kiya
subh kalisa men hai guzara aur mandir men shaam kiya
jab masjid ki jaanib dekha sab ne hamen badnaam kiya
sakht tthi tobah phir bhi teri khatir do do jaam kiya
par jab aayi teri baari kab tum ne ekraam kiya
tum ne kiya saheb wa salam mere badon ko hamne bhi
tere pita, dada, bhai ko jhuk jhuk ke parnam kiya
"naiyr" teri baat nirali pyar, muhabbat,auns, wafa
shafqat,akhuat, ulfat, chahat kiya kiya naa paighaam kiya
|
|
Back to top

#3
Tanwiruddin Ahmad Phool
khair-e-umam ham kahlaate hain lekin kaisaa kaam kiyaa
apne tarz-e-amal se ham ne mazhab ko badnaam kiyaa
tukre tukre ho gaye muslim,apne deen kaa mehwar bhee
qur'aan-o-sunnat ki bajaaey taareekh-e-islaam kiyaa
apne nabee kaa uswaa dekho,rahmat-e-aalam un ki zaat
khush khuqi har aik se ki aur dars-e-muhabbat aam kiyaa
khaal par us ke haafiz ne to do do shahron ko bakhshaa
but khaane se hindoo niklaa aur aa kar parnaam kiyaa
koi kahaan hai,koi kahaan hai,aadam ki aulaad ko dekh
raakh uree hai kis ki hawaa main,kis ne kahaan aaraam kiyaa
jaanain apni lailaa majnoon,sheereen aur farhaad ne deen
ulfat ke raste main mar kar khud ko khush anjaam kiyaa
meer tumhain maanaa hai sab ne phir bhi tum yeh kahte ho
dekhaa is beemaaree-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiyaa
baat yeh parde ki hai lekin tum se yaar chhupaanaa keyaa
jaane kitne paapar bele tab us but ko raam kiyaa
pahle us par kam thi raunaq,saada saada saa mukhraa
phool ki qurbat hi ne dekho,us but ko gulfaam kiyaa
|
|
Back to top

#3
Wazir Hassan Wazir
derd-e-mohabbat berh janey sey aik pal na aaram kiyaa
dekhaa is beemaaree-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiyaa
mujh se mere yar na pocho hijir ka aalam kaisa tha
taarey gin gin subah kia aur aanso pee ker shaam kiyaa
taaro.n ki tanveer se lekar zarro.n se mehtaab talak
us ke bus me.n jo kuch bhi tha who sab mere naam kiyaa
aik hi pal me.n zuhd-o-i”badat sari us ki khak hui
be sajda reh janey ka jo dil me.n khayal-e-khaam kiyaa
yaad ki chaader orh lia aur kitni raate.n beet gai.n
jis din phela aankh me.n kajal logo.n ne badnaam kiyaa
jurm hua tha oro.n se or qatal kia tha oro.n ne.n
munsif janey kaisa tha a”id mujh per ilzaam kiyaa
jin me.n thi perwaz ki qowat gulshan se woh nikal gay
be bus they jo punkh pekheru un ko zer-e-daam kiyaa
ghous qutub ki wadi me.n aik or halaku aaya hai
surkh kia hai dajla ko bughdad me.n qatal-e-a”m kiyaa
mekhaaney me.n rind sabhi meri khatir jub roth gay
saaqi phir majboor hua or merey hawaley jaam kiyaa
me.n ne wazir ye socha tha kuch or tamasha deakhe.n gay
mere apney logo.n ne ye mansoba nakaam kiyaa
|
|
Back to top

#5
Dr. Naim Sahil
ishq-o-muhabbat ki duniya mein jab bhi kisi ne naam kiya
aake farishton ne ik shab ko uske ghar aaraam kiya
aage badh kar dil walon ne uska khush-ikraam kiya
dushman ki har ik saazish ko jab usne nakaam kiya
ek-ik karke saari uljhan jazba-e-dil ke naam kiya
maine khud hi apne dil ko aksar be-aaraam kiya
gosha-gosha mahek utha yaan mere dil ke aangan ka
maine jab bhi zikr tumhara dil se subh-o-shaam kiya
maazi ke auraak palat kar maine bhi ye dekh liya
nafrat karne waalon ne kab ulfat ko badnaam kiya
wo jannat ki hoor nahi thi ik mamuli ladki thi
apni adaaon se ik pal mein jisne mujhko raam kiya
uski aankhon ke jaadu ne neend churai raaton ki
meri janib dekh ke usne jab bhi mujhe salaam kiya
duniya ke har khitte mein teri shohrat ke charche hain
tere mukhalif poochh rahe hain aisa bhi kya kaam kiya
saari duniya samajh chuki hai is kadvi sachchai ko
gulshan ke rakhwaalon ne hi gul ko be-andaam kiya
jo munsif tha uski aankhen dekh rahi thin zaalim ko
uski adalat ne ik pal mein kharij har ilzaam kiya
ab chahe jis samt le chale saath usi ke rahna hai
maine apna sab kuchh ‘sahil’ ik dariya ke naam kiya
|
|
Back to top

#5
Muhammad Aslam Fareedi
raz ko raz na rakha usne akhir tashbaam kiya
dil ke sachay rishtay toray or hamain badnam kiya
ain ebadat jaan k hum nay mehnat or mazdoori ki
sham dhalay jab ghar aye tu khush ho ker aram kiya
janay kiya samjhoota ker k qaidi khudh azad howa
barson se sighiy-e-raz main rakha phir tehreer ko aam kiya
khood ko bhola ke tujh ko bhola doon lakin us dum kiya hoga
tere yaad main dil main koi berpa ger kohraam kiya
ezat-e-nafs ke khatir usnay apni zuban kholi na kabhi
apnay balbotay per khudh hi apna uncha naam kiya
tera rasta taqtay taqtay umer khuch is terha guzri
sham se leker subh kiya or subh se leker sham kiya
husan ki ghari chal se bachna itna asan kaam nahin
nadan dil ko akhir us ki zulf na zer-e-dam kiya
batain kernay ki jo tamanna dil main thi wo pori hoyee
us but-e-kafir ko mushkil se akhir main nay raam kiya
aisa zakham lagaya jis ki koi dawa mojood na thi
uski zehreeli ankhoon main dil ka kaam tamaam kiya
us anjane shaks ki is harkat per main heran howa
pehlay mere soorat dekhi phir bharpoor sallam kiya
koi tu humdard bhi hoga is bemaar fareedi ka
jis ki dua na sehat bakshi jis ki dawa na kaam kiya
|
|
Back to top

#7
Tajwer Sultana Tajwer
dekha is beemaree-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya
jnoon wa fsoon aah-wa-foghan tasht az baam kiya
kitabon ke shahar se jab se lauta hoon tanha hoon
hairat ki aankh ne har rishta hai tamaam kiya
is daur main sunne walon se kehne wala ooncha hai
rozgar-e-ta`bdari main zaban ne hai araam kiya
meree hatheli ki tareekh per tere wa`dey qissey mahram hain
bras bras seench kar tera naam aaj haraam kiya
taraqqee ke darwazon se chalo nikal aayen baahar
bahut din huye hamsaaee se jo dooa aur salaam kiya
|
|
Back to top

#8
Kalim Hazique Kalim
shakh-bdan par xhola dahka lams-e-talab ne kaam liyaa
shabnam ne khud munh dho daley sholay ne aaraam kiyaa
duniya walon ki qudrat main kab tha mera hus-e-zan
apne khaboon ki jannat main jab chaha aaraam kiyaa
wadi wadi ghoom aaya lekin us jaisa koyee na tha
us ney to di mujhey mosarrat main ne hi aalaal kiyaa
khwahish ka sailaab bahut zoron per tha per main ne bhi
us wahshi ko kis jur-a-t se apne zer-e-daam kiyaa
subh ki roopahli dastak per suraj bhi nikla saj kar
raat gazeeda ne lekin mahroomi se hi kaam liyaa
|
|
Back to top

#8
Ali Imran
hum ne uska bhi dil se ehtraam kiya
baarha jis ne hamein baz'm main badnaam kiya
hum se pochey ju kisi ne khushi k my'ni
hum ne honton pe fakhar se tera naam kiya
qandeel-e-wafa khoon-e-jigar se hai jalae
be-lau's muhabbat ne bhi kiya kaam kiya
zindagi tujhko khabar ho nahi sakti iski
kis tarah tujhko basar main ne subh-o-shaam kiya
safha-e-zeest pe kis ne hain utaarey jugnoo
haan! meri maan ki duao'on ne yeh kaam kiya
zindagi main tu na thi koe bhi fursat ki ghari
mar k bhi hum ne ghari bhar ko na aaraam kiya
zabt ki rooh pe zakhmoon ka tasalsul kiyoon hai
kiya din tum ne ghareeboon ki tarah shaam kiya ?
shab-e-zulmat main jalaey hain baghawat k charaag
bari mushkil se ujaloon ko sar-e-aam kiya
|
|
Back to top

#10
Ahsan Purikpa Shaargo
dekhaa is beemaaree-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiyaa
mai nay apna saara kuch hee zaalim tere naam kiya
mai nay tere pyar ki khaatir jaanay kitnay dukh jhailay
par tu nay hee pyar ko mere jaane kyon badnaam kiya
jaane kub say dhoond rahi hain meri yeh pyasi nazren
lekin tu na aaya or mai nay subha say shaam kiya
ab tujhko mai chhorh chuka hun yaad nahi karta hun ab
ahsan ab apnay dil ko jaakay mai nay aaraam diya
|
|
Back to top


Previous Winners
July/August 2007May/June 2007March/April 2007January/February 2007November/December 2006September/October 2006July/August 2006May/June 2006March/April 2006January/February 2006November/December 2005September/October 2005July/August 2005June 2005
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004

|
|
|